must know

isko khne se islam se khariz ho jata hai, Apne iman ke hifazt kre
"marry Christmas"means Allah ne beta jna (mazallah).

Muhmmad(SAW) said i donot shake hands with women



Quran Surah Imran (Chapter 3) Ayat no 103
Aur Sab milkar khudha ki (Hidayat ki) rassi ko mazbut pakde rehna aur alag alag na hona aur khudha ki us meherbani ko yaad karo jab tum ek dusre ke dushman the toh usne tumhare dilo me ulfat daal di aur tum uski meherbani se bhai bhai ho gaye aur tum aag k kinare k gade tak paoch chuke the toh khudha ne tumhe isse bacha liya.


Quran Surah Anaam (Chapter 6) Ayat 159
Jin logo ne apne deen me (Bahut se) raaste nikaale aur kai kai firke ho gaye,unse tumko kuch kaam nahi, Un ka naam khudha k hawale hai fir jo jo woh karte rahe hai, woh (Khudha) unko sab bataega.

According to a hadees Our Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said This Ummah will divide into seventy-three sects, all in the Fire except one Abudawood 2/503.

Jab Allah Taalah ne hume Quran me farmaya ki hume firko me nahi batna chaiye fir bhi hum bat chukhe hai. Meri Guzarish hai ki aap sab log apne aap ko Muslim kaho aur us par amal karo jo Allah ne hume diya hai Quran.





Jinnat aur Shaitaan toilet jaise jagah par rehte hai to hum me se koi bhi waha jaaye to ye dua padhe "ALLAHUMMA INNI AOOZUBIKA MINAL KHUBSI WAL KHABAIS" jiska matlab hai ki "Ae Allah hum tumhari Panah chahte hai Mard aur Aurat Shaitaano se"





Sotay Waqt Seenay par Hath Rakh kr "Ya Mohsee" 7 Martba Parh lain to In Sha Allah Ibadat Main Dil Lagay Ga."
(Ref: Rasail.E.Attariya, Hissa 2, Page 148)



"Akhlaq" aik Dukan hai or
"Zuban" us ka Tala,

Tala khulta hai to Maloom hota hai k Dukan
"Soney" ki hai ya "Koiley" ki.





INSAN Bach Sakta hy..
¤ Takabur se Salam k Zariye
¤ Musibat se Sadqe k Zariye
¤ Bemari se DUA k zariye
¤ Hirs se Shukr k Zariye
¤ Ghuse se Sabr k Zariye
¤ Dozakh se Ibadat k Zariye
¤ Jahil se Khamoshi k Zariye
¤ Shetan se Elim k Zariye
Or Gunah se Allah k Khouf k Zariye Bach sakta hy...





Momin wo nahi jis
ki mehfil pak ho,

Bul-k momin wo hay
jis ki tanhai pak ho”.


1 DIN Hazrat Jibrail (A.S) Huzoor (S.A.W)
k paas aye or kaha ALLAH ne mujhey itni taqat di hay k
main sari dunia k darakhton k pattay gin sakta hon
or pani k saray qatray or rait k saray zarray gin sakta hon
lekin us aadmi per rehmat ki tadad nahin gin sakta
jo AAP(S.A.W) per 1 bar darood parhta hai”





Har kisi ko itni ehmiyat do jitni wo tumtko daita hai
Agar kam do gay to maghror kehlao gay
Agar zyada do gay to Khud gir jao gy.
HAZRAT ALI ().


(Hadees-e-Pak)
Jo Sotay Huay Sone Ki Dua Prh Ly Wo Jitna Wqt Soy Ga Ibadat Ka Swab Mile Ga.
.
"Allahuma Bismika Amutu Wa Ahya"



The Fire of Jahannum will not Touch the person who Recites:
"Allahumma Ajirni Minnan Naar"
If you choose to forward it, It will be Sadqa-e-Jaariya.


1. Hazrat Muhammad s.a.w.w.(PBUH) says that "if a person recite " Ayatal Kursi" after every Farz Namaz then there will be nothing between him and
Heaven except Death *"
*2. There is a Hadith that says "La Haula Wala Quuatailla billahil aliyul azeem" is such a great medicine that it cures every disease and the most
minor disease it cures is "Sorrow" (Gham).
*3. Another Hadith says "if a person recite surah ikhlaas (Kul huwallahu ahad...) 10 times in a day then Allah build a palace for him in the Heaven.(Subhaan Allah)"



"Akhlaaq wo cheez hai jis ki qeemat kuch nahi dena perti magar is say har cheez khareedi ja sakti hai".
HAZRAT ALI (R.A)


Power of Quran.
.
1. Sura Yasin relief from azaab in the grave
.
2. Sura Rehman it will make us rich
.
3. Sura Al Waquiya it will release u from hunger
.
4. Sura Al Mulk brings light in ur grave
.
5. Sura Al Jasia it will bring peace in ur life 
 
 


Iblees kon tha??
.
40,000 sal tk janat ka khazanchi,
.
80,000 sal tk Malaik ka sathi
.
20,000 sal tk Malaik ko Waaz sunata tha
.
30,000 sal tk Muqarben ka sardar
.
14000 sal tk Arsh ka Tawaf krta rha
.
1st asman py iss ka nam Abid tha
.
2nd py Zahid
.
3rd py Arif
.
4th py Wali
.
5th py Taqi
.
6th py Khazan
.
7th py Azazeel
.
Loh_E_Mehfooz
.
main Iblees tha
.
"GHUROOR"
Or
"TAKABBUR"
ne kia se kia Bna diya
ALLAH pak Humein Apni Na Farmani Se Bachain.
" AMEEN "



NABI (S.A.W) ka farman hai k
'Mehmaan apna RIZQ le kar aata hai
or
khilaane walon k gunah le kar jata hai..
(yani gunah jhar jaty hen)



4 chezon ki hifazat kia kro:
1:Namaz mein dil ki.
2:Tanhai mein Nafs ki.
3:Mehfil mein Zuban ki.
4:Raste mein nigah ki.



" pyari c baat" "yeh na socho k Allah dua foran qabul Q nai karta" Balkay "yeh shukar karo k Allah humray gunahon ki SAZA FOORAN NHI DETA"  

Hadiss.. Kuch asay log hongay jin ko janat me janay ka hukum dia jaegay laken wo janat ka raasta bhol jaengay.. "ye wo log hain jin k samne, Ap Rasool(S.A.W) ka Naam lia jae aur wo Drood shreef na bhejen

Our beloved Prophet Muhammad Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam said:
"The most hated person in the sight of Allah Subhanahu wa Ta'ala is the argumentative/quarrelsome person.
" Sahih Al-Bukhari



Rasullallah Sallallahu Alaihi Wassallam ne fermaya,
"Momin "Ta'na" dene wala, "La'nat" Kerney wala, Na-zeba guftago kerney walaa aur Fahash kalami kerney wala nahi hota"


1 yahodi ne 1 buzurg se kaha
k tumhra ALLAH nazar q nahi aata
to buzurg ne farmaya k tum suraj ko gour se dekho to Us ne kaha me is ko nahi dekh sakta
To buzurg ne farmaya k tum suraj ko to dekh nahi sakte to suraj banane wale ko kese dekh sako ge
"SUBHAN ALLAH"
 
 



IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT
aisi cheezain hain jin k milnay say log
badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain
(Hazrat Ali)
 


Quran ka mojza
Lafz “Al-bar” yani “Zameen”
Quran pak main 13 baar aaya hay.
Or
Lafz “AL-Bahar” Yani “Samandar”
32 bar aaya hay.
Total 13+32=45
Zameeni Elaqa:13/45×100=28.89%
Samandri Elaqa: 32/45×100=71.11%

Yani dunia main 28.89 % zameen hay
or 71.11 % samandar hay.
Khushki or pani ka bilkul yahi ratio
aaj ki jadeed science ne daryaft kia hay.
Lekin QURAN PAK ne
1400 saal pehle ye ratio bata dia. 




Din ki roshni main “RIZQ” talash karo,
aur RAAT ki tariki main “USAY”
talash karo jo tumhain “RIZQ” deta hai.

 


1 din
Rasool (S.A.W) ny Shaitan ko kmzori ki halat mai dekha or wja pochi,
Usny kaha Ae RASOOL E KHUDA Ap (s.a.w) ki umat sy sakht ranj uthata hon,

Ap (S.A.W) ki umat ki 6 khaslaten mujse brdasht nhi,

1-jb milen tu Salam krte hain

2-musafah krte hain

3-jb koi kam krna chahty hain tu INSHALLAH kehte hain

4-Astaghfar krte hain

5- Ap (S.A.W) ka nam sunty hi Salawat behjte hain

6- hr kam ki ibtida BISMILLAH se krte hain










 

“ALLAH Wo hai Jisne tumhare liye saakin zameen banai,
Aur aasmaan ko chhat banaya,
Aur tumhari achhi achhi sooratien bana-een,
Aur paak cheezon se tumhein rizq ata kiya,
Wo Allah tumhara Rubb hai,
Aur tamam barkatein ALLAH k liye hein Jo tamam jahanon ka Rubb hai.

(Al-Mo’min; 64)



MAA KI AZMAT;
"Jab madina main ISLAM aam ho chuka, to NABi (SAW) ne farmaya:
"AGAR AAJ MERI MAA ZINDA HOTI, MAIN NAMAZ-E-ISHAA MAIN KHARA HOTA,
OR MERI MAA HUJRAY SAY MUJHE AWAZ DETI,
O'Muhammad (SAW).!
TO KHUDA KI KASAM, MAIN FARZ NAMAZ CHOR KAR DORRTA HUA JATA, OR MAA K QADMON MAIN GIR JATA"







The scientists had proved that the voice wich comes from heartbeat is
"Lub Dub"
but now they have analyzed that it is "Rub Rub"
RUB is an arabic word which means 1 who made each and everything in the universe and who has the command on everything That is "ALLAH" it means every heart beat says "ALLAH ALLAH"
If possible than send to all muslim & non muslim to know about ALLAH who is true creator...


“AAYATUL KURSI KI FAZILAT”
Jo shakhs 1 bar parhe tu”ALLAH TALA”Farishton ko hukum Farmate he
jao,
or mere bande ki”HIFAZAT”karo
2 bar parhe tu yehi Hukum milta he
OR
Jub 3 bar parhta he tu”ALLAH TALA”Farishton se farmata he k wapas Ajao tum sub
Ab ma eski”HIFAZAT”karonga
Achi Bat Phelana”SADQA-e-JARIA”Ha.



zara ghor se parhye
"Hum log zaeef
Quran-e-Paak ya or koi Islami Kitab dafnane k bajae usey kisi b river k pul se niche phenk dete hain k wo samandar mai chala jae ga daraasal wo behta howa Naalon myn gandi jaga pohanch jata hai
(Samaa T.V k faisal qureshi) k program mai pori video dikhai gai hai kis tarha us gandagi mai Qurani A'aza bikhre howe hain
plz is process ko roken!
plz plz forward this msg.!


Hadees-e-Nabvi (S.A.W)
"Musalman ko jo ranj, dukh, fikar, gham, takleef aur pareshani pesh aati hai yaha tak ke usay aik kanta bhi chubta hai
to Allah us takleef ko us ke kisi na kisi Gunah ka kafara bana deta hai



Ek buzurg ne 50 saal books ka muta'lla kya aur un main se sirf 4 Sunehri baaten apny liye muntakhib kin.
1. Allah k diye hua pe raazi reh warna koi Aur Maalik talaash kar jo us se bhi ziyada de.
2. Jin baaton se Allah ne mana farmaya un se ruk ja warna us ki Kainaat se bahar chala ja.
3. Agar gunah karna chahta hai to aisi jaga talash kar jahan Allah na dekh saky warna mat kar.
4. Allah ki ibaadat kar warna uska diya hua rizq bhi mat kha.


"Koi b moseebt Allah k hukm k bagair nhi ati
or Allah momino k dil ko raah dikhlaay ga
or Allah hr cheez se waqif hai
or Ataat kro Allah ki or Ataat kro Rasool(S.A.W) ki
ps agr tm phir gay to Hmary Rasul k zimmah paygaam
pohncha dena hai. Allah k siwa koi mabood
nhi or momino ko sirf Allah pr tawkkl krna chahey"
(surah Muzmil)




Apni Taqdeer ka Har Faysla ALLAH k Hath mey Dey do..
Uss se Dua to Karo par Zid Na Karo.,
Q k Jaß Aap ALLAH Ta’la pey Apni Zindagi ka Har Faysla Chortey Ho to ALLAH ßhi Wohi Karta hay..
Jo Tumari Khushi hoti hay..
& Said: Ay Logo.! Tum Apni Raza ALLAH ki Raza mey dhundu…
Phir Dekhna Woh Kis tarha Apni Raza Tumari Raza mey Shamil Karta hay..
ßeshaK ALLAH Saß sey ßehtar Sb kuch behtr frmany wala hy…



QURAN E PAK main kuch khubsurat duain
1. Ae Mere RUB! Beshak tu jo bhi bhalai meri tarf utarey ga main uska mohtaaj hoon
(ALQASAS-24)
2. Ae mere RUB! Main tujhe pukar kay kabhi mehroom nahi raha
(ALMARIYAM-4)
3. Ae mere RUB! mere liye apne pas jannat main ghar bana dijiay
(ALTEHREEM-11)
AMEEN



Allah said Musa A.S.
Aae MUSA Mujh se us zuban se dua mang
Ke Jis se tonay gunah na kiya ho
Musa A.S. Replied
Aae Allah mai wo zuban kaha se lao?
Allah Ne Jawab Diya: Tum Apnay Liiye Dua Dosro Se Karao
kiu Ke Tum Ne Un Ki Zuban Se Koi Gunah Nahi Kiya.
So Please Pray For Me.


Sab Ko send karo
Sadqa Jariya Hai
Rasool-e-Akram S.A.W ne Farmaya
Jab tum kuch bhool jao to mujh pe Durood Parho
InshAllah yad aa jay ga
Aur Farmaya: jo kisi pareshani mai ho wo mujh par Durood ki kasrat karay
kiu ke ye Pareshani aur dukh le jata hai.
Rizk Barhata hai aur Hajtain Poori Karta hai
SUBHANALLAH.




Apne behtareen waqt ko namaz k liye waqf kro kyun k tmhare sab kaam tmhari namaz ki badolat qabool honge.
Hazrat Ali (R.A). 













ZAM ZAM is about 18*14 feet and 13 meters deep well.
It started 4000 years ago.
Never dried since then never changed taste.
No Algae or Plant growth in the well.
This small well provides water to Millions of people.
Through Heavy motors pulling 8000 liters per second (69.12 core liter in 24 hrs)
& after 24 hours it completes its level in only 11 mints.
Thus its Alter level never decreases


Aayat-ul-Kursi Benifits:
> recite while leaving house, 7000 angels will protect your from allside,
> recite entering home poverty won't enter your Home,
> recite after WAZO, it raises your status 70 times
> recite while sleeping 1 angel will protect you whole night.




Nabi kareem S.A.W. ny farmaya:
agar koi momin meri 1 sunnat ko zinda karyga to us ko 80 SHAHEEDON ka sawab mileyga
jhut na bolna AAP S.A.W. ki sunnat ha Lehaza is mehbob sunnat ko apnaeye Yad rahay mazak me b jhut nhi
khud is tarhan is sunnat k paekar bun jaen k log ap ko dekh k khud bdal jaen
Jazak Allah


HAZOOR (S.A.W.) k wsal ka waqt aya to AAP (S.A.W.) ne Hzrat IZRAEEL sy poocha k kia meri umat ko b mot ki itni taklef ho gi, Hazrat Izraeel ne farmaya g AAP S.A.W. ne rona shuru kr dia
ALLAH NE FARMAYA AE MUHAMMAD S.A.W. AAP ki umat agar hr nmaz k foran baad AYT UL KURSI to mot k waqt uska 1 paon dunya mein aur doosra paon jannat mein ho ga..


Zakat is distributed among 8 asnaf (categories) of people, namely:

Fakir - One who has neither material possessions nor means of livelihood.
Miskin - One with insufficient means of livelihood to meet basic needs.
Amil - One who is appointed to collect zakat.
Muallaf - One who converts to Islam.
Riqab - One who wants to free himself from bondage or the shackles of slavery. (In Singapore, zakat due to this category of recipients is spent on those who need help to pursue education or to improve their standard of living).
Gharmin - One who is in debt (money borrowed to meet basic, halal expenditure).
Fisabillillah - One who fights for the cause of Allah.
Ibnus Sabil - One who is stranded in journey.
  • Chand k baghair raat bekar hai, aur ilm k baghair  zehan.[HAZRAT ABU BAKAR(RAA)] 
  •  
  • Jo tujhey teri khamiyan batayewo tera dost hai.[HAZRAT UMER (RAA)] 
  •  
  • Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho.[HAZRAT ALI (RAA)] 

  • ABU DAUD
(Allah us shakhs ko abad rakhta hai
jo hadis sun k dosre ko phnchaye!) 


  • Jannat k 8 darwazay hain,
1.Jannatul mava
2.Darul maqam
3.Darul salam
4.Darul Khuld
5.Jannatul adan
6.Jannatul naim
7.Jannatul Kashif
8.Jannatul firdos

Allah se dua hay k roz-e-qiyamat
her darwazay se ap ka nam pukara jaye.”aameen”



  • Aj ki behtreen Dua..
“Ya Allah mene aj sb ko maaf kia jis ne b mere sath

bura kia.
jis ne b mujy bura kaha.
jis ne b meri chughli ki..
jis ne b mera dil dukhaya,
aj mene sb ko maaf kia to b sb ko maaf farma day

ameen..
Aj ap kisi ko maaf kren gy to koi ap ko maaf kryga.
ALLAH Maaf krne walo ko pasand krta he.



  • Nabi karim (S.A.W) majlis main wa’aiz farma rahay

thay.K tum log 1 doosrey ko tuhfa daitey raha karo.
1 Shakhs ney poocha k ya Rasulallah (S.A.W) ager kisi  k pas tuhfa na ho to?

Hazoor(S.A.W) ney frmaya:
“kya tum kisi ko apni muskurahat b nahi dey saktey” (SUBHANALLAH.)




Aapas mein galatiyon ko darguzar kiya karo.
Qk
Darguzar na karo ge to mohbbat khatam ho jae gi,
Jab mohbat khatam hogi to rabita toot jae ga
Jab rabita toot jaiga to fasla ho jae ga.
Or yei fasla 1 din tumhare rishte ko tor de ga.
:
HAZRAT ALI 






  • HAZRAT MUHAMMAD (S.A.W) nay frmaya:
4chezain apko preshan or bemar krti han
1:ziada Baten krna
2:ziada sona
3:ziada khana
4:ziada logo sy mail-jol

4chezein apko khatam krti hain
1:preshani
2:Gham
3:Bhook
4:Late Sona





“jo shakhs sote waqt 21 bar
BISMILLAH parhta hai,
ALLAH farishton se farmata hai
k is ki har saans k badle neki likho”




“$ajdy ki barkaten”

“Sajda karny sy”
¤Nigha taiz
¤demag taqat war
or
¤Chera haséen hota he.

Ay Allah ham sab ko apny huzoor

jhukny ki tofeeq aata farma.

AMEEN




“Hazrat OMAR FAROOQ R.A ne Farmaya”
Mohtaji or Ghurbat 7 Cheezoon Sy Ati H.
1: Jaldi Jaldi Namaz Parhnay Se.
2: Khary Ho K Pani Pinay Se.
3: Moonh Se Charagh Bujhanay Se.
4: Asteen Ya Daman Se Moonh Saf Krne Se.
5: asar k bad ghar may jharu dene se.
6: dantoon se nakhun torne se.
7: fajar ki namaz k bad foran sonay se’





  • In 4 chezon ke hifazt kia karo

1:Namaz main dil ki

2:Tanhai main Nafs ki

3:Mehfil main Zuban ki,

4:Rasty main nigah ki G.MORNING



*ALLAH ka zikr apne hath ki ungliyon me kiya kro.
Q ke jab ap apni Qbar ke andhere me rahoge to ye
ungliyan roshni ka kaam krengi .


QURAN-E-PAAK me ZINDAGI ka zikr 145 bar aya hai
aur MOUT ka zikr bhi 145 bar.
FARISHTON ka zikar 88 bar
aur SHETAAN ka zikr bhi 88 bar hai.
DUNYA ka zikr 115 bar aur
AKHRAT ka zikr bhi 115 bar hai.
INSAAN ka zikr 50 bar hai
to RASOOLON ka zikr bhi 50 bar.
IBLEES ka zikr 11 bar
aur Us se PANAH ka zikr bhi 11 bar hai.
MUSIBAT ka zikr 75 bar
Or SHUKR ka zikr bi 75 bar milta hai.






REHMAN,wo zat Jis ne tumhe mitti se insan banaya

Wo zat Jo tumhare gunaho k bavjod tumhe hr roz rizq

deta hy

Wo zat Jo tmhari tauba pe tmhare gunaho ko b nekiyo

mai badal deta hy

Wo zat Jo tumhare raaz jante hue b tumhari srkashi k

bavjod unhe fash nhi krta

Wo zat Jisne tumko fazilat bakhshi

Wo zat Jisne tumhare liye QURAN utara ta k tum us k

zariye JANNAT hasil karo

PAS TUM APNE RAB KI KON KONSI NAIMAT KO JHUTLAO GaY.,.




“Kbhi b kamyabi ko dimag m aur
nakami ko dil m Jaga na dena,
kyn k Kamyabi Dimagh mein Takabbur
aur Nakami dil mein Mayosi paida kar deti hai.”






Insan Gunah Karne Ki Waja Se Jahanum Main Nahi Jata…!

Bal-Ke

Gunah Par Mutmain Rehne Aur Tauba Na Karne Ki Waja Se

Jahanum Main Jata Ha.








Jo shakhs Allah se darta hai woh kabhi badla nahi

layta.

Hasad karnay waala maut se pehle mar jaata hai.

Kisi per aitamaad na karo, jab tak usay ghussay may na

dekh lo.

Maut ko yaad rakna nafs ki tamaam bemarioan ki shifa

hai.

Khushi insaan ko itna nahi sikhati jitna keh gham.

Sachai ek aisi dawa hai jis ki lazzat karvi, magar

taseer meethi hai.






Importnt health tips

1.subha ko ziada se ziada pani pene ki koshish kro

2.5pm k baad pait bhar kar kahna na khao
3.Mob left ear se suno

4.jb mob ki battery ka last par ho to fon atend na

kren bcz us wqt radiations 1000 guna strong hote hen

5.Medicine thande pani se na lo

6.Medicine lete hi letain mat
7.Sone k liye behtaren waqt 10pm to 4am ha
8.Kabi b ulta mat soen

9.Hamesha right krwat len kr soen




Jab Ankhein Nafs ki pasandeda cheizein deikhne lagein

to DIL anjam se andha ho jata he. Hazrat ALI (A.S)








Hadis-e-Pak “Sadqa gunahon ko is tarah khatam kar

daita hai jis tarah pani aag ko buja daiti hai”

(TIRMIZI)










Hazrat Muhammad S.A.W.W ne Farmya:

“jb aik jawan admi toba krta hai to

mashrik se maghrib tk k qabristano me

40 dino tak azaab hata liya jata hai.








  • Allah Rabb-ul-Izzat Farmata hai….

Aay Banday!

1: Mujh say kal ka rizq na maang jis tarhan main tujhy

se kal k amal nahi mangta

2: Main tujhy passand hon to ye tera haq hai k tu bhi

mujhe passand ho

3: Tu merey thoray diye se razi ho ja,

Qayamat k din main tere thory kiye se razi ho jaon ga.





Dua apne liye mangna Ibaadat hai,

Dua dusron k liye mangna khidmat hai,

Ibaadat se jannant milti hai or khidmat se Allah milta

hai.





Allah ki 4 rahmtian jo insan se bardashat nahi hoti

1: Beti

2: Mehman

3: Barish

4: Bimari

Allah k 4 azab jo insan bohat khushi se qabool kerta

hai…

1: sood

2: jahez

3: Gheebat

4 : jhoot






1) Jo shakhs hr wqt bawuzu rahega, ALLAH uski rozi

kushada farmaega.

2) ALLAH ki khushi, bap ki khushi me Allah ki narazgi

bap ki nrazgi me hy.

3) Sood or hram kamai khaney waly ki dua qabool nhi

hoti.

4) Jis ne apni namazon ki fikar chordi ALLAH ne uski

fiqr chordi.

5) Hr Farz Namaz k bad AYAT-UL-KURSI parhney wale aur

janat k drmyan sirf maut hy.

6) ALLAH us shaks ko abad krta hai jo Hadis sun k

dosron tak pohnchata ha.








Agar khuda tumhari duain poori kar raha hai,

tau woh tumhara yaqeen barha raha hai,

Agar dair kar raha hai

tau woh tumhara sabr barha raha hai,

Aur agar duaon ka jawab nahiin day raha

tau woh tumhain aazma raha hai.

Hazrat Ali(R.A)